Thaharne ka sabab koi nahin hai

thaharne ka sabab koi nahin hai
pas-e-diwar jab koi nahin hai

ye dil maskan khumar-e-raegan ka
yahan jashn-e-tarab koi nahin hai

badi 'izzat hai meri us ke dil mein
sar-e-mahfil adab koi nahin hai

bahut kuchh mangte hain ahl-e-duniya
magar husn-e-talab koi nahin hai

mohabbat ke sarab-e-mustaqil mein
hisab-e-roz-o-shab koi nahin hai

andhere kis tarah kafur honge
kisi mein tab-o-tab koi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close