Thahra ke ek adhuri mulaqat der tak

thahra ke ek adhuri mulaqat der tak
do sae sar-ba-zanu the kal raat der tak

nikla na sans bhar kisi gul-daere se panw
thi mahw-e-bazgasht koi baat der tak

main rasm-e-alwidaa mein bhi kam-sukhan raha
lahrae bar bar mere hath der tak

aur shart-e-guftugu ko tarah de ke ek bar
wo bhi sulag utha tha mere sath der tak

tartib bolti hai saliqa usi ka hai
ye hath chhu na paenge saughat der tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close