umr bhar ek hi kirdar se Dar lagta hai

umr bhar ek hi kirdar se dar lagta hai
aadmi hun mujhe takrar se dar lagta hai

aankh thak jati hai chehron ka taaqub karte
tez chalta hun to raftar se dar lagta hai

chaukhate bechne wale teri kun ras aawaz
khinch bhi lae to bazar se dar lagta hai

phir koi zakhm ki kuchh din hamein pur-kar rakhe
ishq ko fursat-e-be-kar se dar lagta hai

kaun kis waqt badal jae khuda jaanta hai
khalq aur khalq ke mear se dar lagta hai

dil hai malbe se churaya hua zewar 'talib'
bik bhi jae to kharidar se dar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close