Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

thahre pani mein nihan ek hasin khwab bhi hai
aas ki jhil mein aks-e-rukh-e-mahtab bhi hai

dasht-e-tanhai ke tapte hue virane mein
teri yaadon ka hai ek ped jo shadab bhi hai

par karna bada mushkil hai ki ye bahr-e-hawas
kahin gahra hai bahut aur kahin payab bhi hai

is ki taswir mein aankhon mein basa lun ki ye shai
lakh arzan sahi mere liye nayab bhi hai

yun to lagta hai samundar bada khamosh magar
us ke sine mein nihan karb ka sailab bhi hai

ye tamannaon ki sukhi hui nadi 'akhtar'
apni aankhon mein sajae hue ek khwab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close