ye zindagi azab agar ho to kya karen

ye zindagi azab agar ho to kya karen
ek talkh si sharab agar ho to kya karen

tum se hamare qalb o nazar ka muamla
ek wajh-e-iztirab agar ho to kya karen

sidq-o-safa ki aarzu ab kya kare koi
band aagahi ka bab agar ho to kya karen

fitrat mein jis ki roz-e-azal se hijab hai
wo husn be-hijab agar ho to kya karen

rukh ko tumhaare chand se tashbih de to den
gahnaya mahtab agar ho to kya karen

hum raaz-e-dil chhupate magar apni zindagi
puri khuli kitab agar ho to kya karen

kar li hai tauba hum ne magar dukhtar-e-enab
masjid mein dastiyab agar ho to kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close