thahre to kahan thahre aakhir meri binai har shakhs tamasha hai har shakhs tamashai ye husn ka dhoka bhi dil ke liye kafi tha chhune ke liye kab thi mahtab ki unchai aaine ki hajat se inkar nahin lekin is darja na tha pahle dastur-e-khud-arai sarmaya-e-dil aakhir aur is ke siwa kya hai har dard se rishta hai har gham se shanasai patthar sa hate dil se kuchh mujh ko bhi kahne do go talkh to guzregi tum ko meri sachchai shikwa na karen hum bhi bharpur tawajjoh ka dekha na karo tum bhi har zakhm ki gahrai duniya se nirala hai 'asrar' chalan apna tanhai mein mahfil hai mahfil mein hai tanhai