aarzu bhi to kar nahin aati

aarzu bhi to kar nahin aati
dil mein hai honth par nahin aati

wasl ki raat ke siwa koi sham
sath le kar sahar nahin aati

chali jati hai un ke ghar meri nind
ja ke phir raat-bhar nahin aati

wo mujhe koste hain o tasir
arsh se tu utar nahin aati

pahle aati thi ai qafas walo
ab saba bhi idhar nahin aati

chup khade hain wo pesh-e-dawar-e-hashr
bhule hain baat kar nahin aati

kabhi aa jati thi muqaddar par
ab hansi honth par nahin aati

are waiz dara na tu itna
kya use darguzar nahin aati

jab tak aae na koi chand si shakl
shab-e-mah mere ghar nahin aati

hashr ke din bhi dagh daman mein
sharm ai chashm-e-tar nahin aati

kamar in ki bahut hi nazuk hai
zulf bhi ta-kamar nahin aati

gham hain rah-e-junun mein ahl-e-junun
hain magar kuchh khabar nahin aati

aap ko apni aarsi ke siwa
achchhi surat nazar nahin aati

sharm aati hai dil mein sau sau bar
tauba lab par magar nahin aati

wa-e-qismat ki bekasi bhi 'riyaz'
ab meri qabr par nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close