thakan ko jam karen aarzu ko baada karen sukun-e-dil ke liye dard ka iada karen ubharti dubti sanson pe munkashif ho jaen sulagti garm nigahon ko phir labaada karen bichhaen dasht-nawardi junun ki rahon mein firaq shahr-e-rifaqat mein istada karen tumhaare shahr ke aadab bhi ajib se hain ki dard kam ho magar aah kuchh ziyaada karen ye sard raat nigal legi saaton ka wajud jalaen shakh-e-badan aur istifada karen