wah kya husn kaisa joban hai kaisi abru hain kaisi chitwan hai jis ko dekho wo nur ka buqa ye paristan hai ki london hai abas un ko masih kahte hain mar rakhne ka un mein lachchhan hai husn dikhla raha hai jalwa-e-haq ru-e-taban se saf raushan hai rasm ulti hai khub-ruyon mein dost jis ke bano wo dushman hai haal ushshaq ko batate hain aur abhi khair se ladakpan hai