thakan se chur badan dhul mein ata sar tha main jab gira to mere samne mera ghar tha tahi-e-samar shajar-e-khwab kuchh nidhaal se the zamin pe sukhi hui pattiyon ka bistar tha usi ki aab thi us shab mein raushni ki lakir wo ek shakhs ki jo kanch se bhi kam-tar tha nahin ki gard hain sat aasman hi gardish mein zamin ki tarah mere panw mein bhi chakkar tha main aaj bhi usi basti mein ji raha hun jahan kisi ke hath mein khanjar kisi ke patthar tha badha ke hath khizan ki ruton ne noch liya hawa ke jism pe jo khushbuon ka zewar tha saron pe abr-kusha dhup ki tamazat thi 'najib' zer-e-qadam ret ka samundar tha