ye jahan khub hai sab is ke nazare achchhe us se badh kar hain ise chahne wale achchhe ek hi daud mein shamil hon sabhi log to phir sare aghyar bhale hain sabhi apne achchhe aaj bhi teri himayat hai ki ai mauj-e-bala chashm-e-namnak bhali khun ke dhaare achchhe kis ki tarif karen kis ke qaside likkhen nafs-e-mazmun se badh kar hain hawale achchhe in dinon aab-o-hawa-e-dil-o-jaan behtar hai mah-rukh mah-jabin mah ke pare achchhe ye to ek kar-e-ziyan hai jo rahega jari hum se aaenge sukhan-war abhi achchhe achchhe