thakan to agle safar ke liye bahana tha use to yun bhi kisi aur samt jaana tha wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi usi pe zarb padi jo shajar purana tha mata-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari suluk khwab ka aankhon se tajirana tha hawa ki kat shagufon ne jazb kar li thi tabhi to lahja-e-khushbu bhi jarehana tha wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl nai kitab ka ek ek waraq purana tha qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi tabhi to chaal ka andaz khusrawana tha