thake to aise thake pahli raat taqriban

thake to aise thake pahli raat taqriban
khudai kar gae mehndi ke hath taqriban

hamare bas mein use de ke yun laga jaise
khuda ne saunp di thi kaenat taqriban

na koi jhonk na jhapki hi aankh mein aai
guzar chali thi guzarne ki raat taqriban

har ek maqam par apna hi samna khud se
harif ban gai apni hi zat taqriban

qadam qadam pe zamane ke kaam yun aae
dubo gain hamein apni sifat taqriban

kai hazar shagufe khila gai dil mein
jo zer-e-lab hi kahi ek baat taqriban

wahin pe chhut gaya apna sath bhi hum se
jahan par aa ke chhuta un ka hath taqriban


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close