hai zarre zarre mein jalwa-paira jamal tera shabab tera kisi ke dast-e-nigah ne rukh se ulat diya kya naqab tera ye rukh pe sabza ye ghuncha sa lab ye nargisi chashm sarw qamat hui hai takmil-e-husn jis se wo hai mukammal shabab tera tujhe khabar bhi hai ai falak kuchh ye kya haqiqat hai raaz kya hai wo hai dil-e-daghdar mera samajh na tu aaftab tera jo katiban-e-amal the kandhon se mere wo hat gae ye kah kar ki ho gai pur kitab teri kahan likhen hum hisab tera khuda hai tu tere hum hain bande hamein nahin koi bahs is mein hamare haq mein hai ain rahmat sawab tera azab tera main dekh leta jo tere jalwe to ye tadap ye kashish na hoti idhar hai mail nigah teri udhar hai hail hijab tera na ye hi bas mein na wo hi bas mein tu hi bata de ki kya karun main idhar hain muztar nigahen meri udhar hai mane hijab tera firaq mein un ke zindagi bhar jo tadpe sabir to kuchh na tadpe maza to jab hai ki baad-e-murdan bhi kam na ho iztirab tera