thami hui hai kahkashan apne hath se tamir kar raha hun makan apne hath se aaya hun wo zamin o shajar dhundta hua khinchi thi ek lakir jahan apne hath se husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga main ne tarash li hai khizan apne hath se aaine ka huzur samundar laga mujhe kata hai main ne sail-e-giran apne hath se 'sarwat' hadaf bahut hain jawanan-e-shahr mein rakkho abhi na tir o kaman apne hath se