pahle hua jo karte the hum wo nahin rahe dekho shab-e-firaq hai aur ro nahin rahe aisi bhi ro rahe hain unhen jo nahin rahe pahle se moajize to kahin ho nahin rahe yaro dikhao phir koi aisa hunar ki bas ghairon ki koi fikr hi hum ko nahin rahe ashaar se ayan hain to ashaar mat padho hum dil ke dagh tum ko dikha to nahin rahe tadbir bhi hai jaan bhi hai maslahat bhi hai rahna na tha bas ek hamein so nahin rahe hum ghair aur wo sabhi apni jagah pe hain bas yun kaho miyan ki ghazal-go nahin rahe