the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae lekin ye kya hua teri zulfon ke kham gae ek ehtijaj se hain ibarat hayat-o-maut rote hue jo aae to ba-chashm-e-nam gae tai kar saka na wusat-e-dasht-e-wafa koi dawe jinhen bahut the qadam-do-qadam gae kuchh der khelte rahe mauj-e-bala se hum kuchh dur sath sath wajud-o-adam gae thahre hue hain barg-e-khizan-dida ki tarah sanki hawa zara bhi to samjho ki hum gae ye majra hai kya ki zamin dolne lagi ye kya hua ki chalte hue log tham gae