makan nazdik hai ya la-makan nazdik padta hai kahin aa jao mujh ko har jahan nazdik padta hai jahan tum ho wahan se dur padti hai zamin meri jahan main hun wahan se aasman nazdik padta hai suna hai ek jahan-e-be-nihayat ho magar phir bhi ye tai hai be-karan ko be-karan nazdik padta hai chale aate hain hum ek dusre ki samt mein warna tumhein sahra mujhe dariya kahan nazdik padta hai nae alfaz rakh kar dekhta hun kuchh puranon mein maani se mera rishta kahan nazdik padta hai bala ki dhup hai dasht-e-talab mein ai dil-e-nadan yahan kis aarzu ka saeban nazdik padta hai