the niwale motiyon ke jin ke khane ke liye phirte hain muhtaj wo ek dane dane ke liye shama jalwate hain ghairon se wo meri qabr par ye nai surat nikali hai jalane ke liye dair jata hun kabhi kaba kabhi su-e-kunisht har taraf phirta hun tere aastane ke liye hath mein le kar gilauri mujh ko dikhla kar kaha munh to banwae koi is pan khane ke liye ai falak achchha kiya insaf tu ne wah wah ranj mere waste rahat zamane ke liye