sawal-e-ishq par ta-hashr chup rahna pada mujh ko har ek ilzam ko hanste hue sahna pada mujh ko kabhi maghrur tufanon ko bhi thukra diya main ne kabhi ek mauj-e-gham ke sath hi bahna pada mujh ko sukun-e-dil badi daulat sahi ai ham-nashin lekin sukun pa kar bhi akasr muztarib rahna pada mujh ko zamana kis qadar be-gana-e-rasm-e-mohabbat tha yahan to khud se bhi na-ashna rahna pada mujh ko 'rawish' is bazm-e-rangin mein sukut-e-gham ka afsana kaha jata na tha mujh se magar kahna pada mujh ko