the ujale jis jagah Thokar wahin khai gai

the ujale jis jagah thokar wahin khai gai
raushni aankhon mein kya aai ki binai gai

muskura kar dekh lene ke fasane ban gae
ek zara si baat thi aur kitni phailai gai

sard jismon mein hararat hi na aai aaj tak
barha chaaron taraf se aag barsai gai

ab to un ke samne bhi aa chuki hai maslahat
sach kahun to hath se sachchon ke sachchai gai

karobar-e-zindagi chalta hai surat dekh kar
har madad pahunche hue logon mein pahunchai gai

ab mohabbat ka samundar ghatte ghatte rah gaya
dubkiyan khaen kahan pani se gahrai gai

jaankani ke karb ka ehsas kya hoga use
maut jis ki zindagi mein barha aai gai

pahunche kufristan to iman taza ho gaya
'khizr' but-khane mein bhi shan-e-khuda pai gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close