wo hui chot mohabbat mein ki bas man gaya koi kafir tha jo le kar mera iman gaya thi bahut wahshat-asar kashmakash-e-aql-o-junun main ne daman ko sanbhaala to gareban gaya ishq mein kuchh na raha dagh-e-mohabbat ke siwa dil gaya hosh gaya ghar gaya saman gaya tauba tauba meri tauba are tauba tauba kya ghadi thi ki main waiz ka kaha man gaya dil ke dene ka ye anjam are wah re ishq ek to jaan gai dusre ehsan gaya rind ne socha ki dam lene ki fursat de do shaikh ji khair manate hain ki tufan gaya ishq ko 'khizr' abhi fikr se kar ke tabir kafiri ke liye kabe mein musalman gaya