thi ajab hi dastan jab tamam ho gai ek misal ban gai ek payam ho gai raat jab jawan hui jab diyon ke sar uthe tab hawa bhi aur kuchh tez-gam ho gai ek bas nazar padi us ke baad yun hua main ne jo ghazal likhi tere nam ho gai mit rahi thi tishnagi badh rahi thi dosti phir ana ki tegh kyun be-niyam ho gai falsafe ko chhodiye kya kahenge sochiye zindagi jo aap se ham-kalam ho gai tanz to bahut hue par ajib baat hai rah jo hamari thi rah-e-am ho gai kaisi umda qaum thi kya hi zinda qaum thi aakhir us ko kya hua kyun ghulam ho gai jam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke ab 'hilal' ghar chalo ab to sham ho gai