wahi hua ki khud bhi jis ka khauf tha mujhe charagh ko jala ke bas dhuan mila mujhe kabhi mita saka na koi dusra mujhe shikast de gai magar meri ana mujhe jawab is sawal ka bhi de zara mujhe uda ke lai hai yahan pe kyun hawa mujhe hari-bhari si shakh par khila hua gulab na jaane ek khar kyun chubha gaya mujhe us ajnabi se wasta zarur tha koi wo jab kabhi mila to bas mera laga mujhe abhi na mujh ko tokiye abhi to zindagi suna rahi hai git roz ek naya mujhe ye muddaton ke baad jo kahi ghazal 'hilal' wo kaun hai jo aaj yaad aa gaya mujhe