thi apne aap mein aatish-fishan hawa koi

thi apne aap mein aatish-fishan hawa koi
lagi thi aag kisi ko makan jala koi

chale jo tham ke kandhe wo faede mein rahe
kisi ne khai bhi thokar agar gira koi

ye baghban ke hunar ka kamal tha shayad
kisi ka bij lagaya shajar uga koi

tamam jism barahna lage the jab nikla
pahan ke besh-baha khushnuma qaba koi

ab is se badh ke bhi mear-e-adl kya hoga
kisi ke jurm ki pane laga saza koi

nahin hai naghma-e-hasti to saz-e-marg sahi
miyan-e-shahr-e-khamoshan uthe sada koi

bana hai meri tamazat se aab abr magar
mere hi khet pe barsi nahin ghata koi

unhin ke jism pe 'asim' the be-shumar nishan
qaba pe jin ki na tha dagh-e-bad-numa koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close