ye moajiza bhi muqaddar mujhe dikhae kahin wo ab ke aae to jaane ki rah na pae kahin chhupa chhupa ke rakha main ne jis ko khud se bhi wo tera zikr kitabon mein ab na aae kahin hui hai umr nibhate hue tere gham se ye hausla bhi magar ab na mat khae kahin ajib jashn-e-bahaaran hai bagh sab ujde makan tab ye gulon se gae sajae kahin tamam fasl karun nazr abr ki 'asim' jo barishon mein mera khet bhi nahae kahin