thi chhoti us ke mukhde par kal zulf-e-musalsal aur tarah phir dekha aaj to us gul ke the kakul ke bal aur tarah wo dekh jhidakta hai hum ko kar ghussa har dam aur hamein hai chain usi ke milne se zinhaar nahin kal aur tarah malum nahin kya baat kahi ghammaz ne us se jo hum se thin pahli baaten aur namat ab bole hai chanchal aur tarah dil mujh se us ke milne ko kahta hai to us ke pas mujhe jab le pahuncha tha bhes badal phir ab ke le chal aur tarah hai kitne dinon se ishq 'nazir' us yar ka hum ko jis ki hain subh aur biran sham aur phaban aaj aur duwah kal aur tarah