thi ham-aghoshi magar kuchh bhi mujhe hasil na tha

thi ham-aghoshi magar kuchh bhi mujhe hasil na tha
wo ek aisa lams tha jis mein badan shamil na tha

ret ki daldal mili mujh ko samundar par bhi
main wahan utra jahan sahil kabhi sahil na tha

wo to ek sazish thi mere khun ki mere khilaf
jis ke sar ilzam aaya wo mera qatil na tha

hum ne kate ped to sayon ki yaad aane lagi
lekin ab harf-e-nadamat se bhi kuchh hasil na tha

sar pe aa girta hai takmil-e-mohabbat ka pahad
warna izhaar-e-tamanna to koi mushkil na tha

par laga kar ud gae aakhir meri nindon ke sath
pyar ke wo khwab jin ka koi mustaqbil na tha

un se mil kar ye bhi dekhi shoabada-bazi 'qatil'
dhadkanen maujud thin sine mein lekin dil na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close