teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi aankh kahti hai tere dil mein talab hai koi aanch aati hai tere jism ki uryani se pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi hosh udane lagin phir chand ki thandi kirnen teri basti mein hun ya khwab-e-tarab hai koi git bunti hai tere shahr ki bharpur hawa ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi liye jati hain kisi dhyan ki lahren 'nasir' dur tak silsila-e-tak-e-tarab hai koi