thi kabhi ab magar wo chah nahin

thi kabhi ab magar wo chah nahin
un se pahli si rasm-o-rah nahin

apni fariyaad bhi hai jurm ki baat
un ki bedad bhi gunah nahin

kuchh na kuchh husn bhi to hai mujrim
sab ka sab aankh ka gunah nahin

jaane kis maslahat ke pesh-e-nazar
zulm ab un ke be-panah nahin

dekh 'arif' ye auj-e-ishq bhi dekh
ek tarana hai lab pe aah nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close