thi khwab mein bhi jalwa-numai tamam raat nind aai bhi to nind na aai tamam raat samjha na dil ne ahd-shikan tujh ko ta-sahar karta raha adu ki burai tamam raat tum se to khair wada-khilafi hui hui kam-bakht maut bhi to na aai tamam raat hichki bata rahi thi ki us bewafa ko bhi meri hi tarah nind na aai tamam raat khalwat-gah-e-talab mein ujala na ho saka lau shama-e-arzu ki badhai tamam raat jab ho saka na koi mudawa-e-soz-e-ishq ashkon ne gham ki aag bujhai tamam raat rah rah ke dard uthta raha aur chashm-e-shauq apne hi aansuon mein nahai tamam raat 'ahmar' mila tha jis se hamein dard-e-ashiqi dete rahe usi ki duhai tamam raat