rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw rakhte hain idhar panw to padte hain udhar panw kandhon pe liye umr ka bosida janaza jata hai udhar jism bhi jate hain jidhar panw mahaul hi aaina-e-har-ahd-e-nawi hai jhule hi mein aa jate hain bachche ke nazar panw badh jate hain kuchh aur bhi manzil ke taqaze kho dete hain jab hausla-e-azm-e-safar panw pamal hue hain kai sahraon ke sine yunhi nahin aate hain nazar khak-basar panw har chand badhi jati hai lamhon ki masafat thakte nahin badhte hue sadiyon ke magar panw milti nahin gar zehn ko idrak ki aankhen rakhte hi nahin farsh pe mahrum-e-basar panw shahron ki tijori kabhi deti nahin roti kheton mein pahunchte nahin dahqan ke agar panw sidhi sahi lekin rah-e-ikhlas pe 'ahmar' padte hain zamane ke ba-andaz-e-digar panw