thi to sahi par aaj se pahle aisi haqir faqir na thi dil ki sharafat zehn ki jaudat itni badi taqsir na thi sach kahte ho hum aise kahan aur soz-o-gudaz-e-ishq kahan sach hai mere aaina-e-dil mein koi kabhi taswir na thi ab jo uchat hui hai tabiat shayad ab hum rukhsat hain bin-karan be-baat wagarna aisi kabhi dil-gir na thi ahl-e-junun ko fasl-e-khizan se ab ke bhi go na rabt raha ab ke bahaar wo aai ki jis ki bu-e-gul bhi safir na thi aakhir ghairat ne samjhaya nau-midana zist karen baqi har tadbir to ki jo apne khilaf-e-zamir na thi