na maslahat na takalluf na inkisar ka hai sawal tutte rishton ke e'tibar ka hai utha le hath mein patthar agar sune koi ajib haal mere zehn ki pukar ka hai had-e-nigah se aage bhi manzilen hain bahut mera irada gham-e-zat se farar ka hai sabhi chale gae ghar chhod kar to kya hoga bachae shahr ko ye kaam shahryar ka hai zara hate to padhun main bhi waqt ka chehra nazar ke samne parda abhi ghubar ka hai farogh kaise mila nafraton ko jab ki yahan har ek aadmi ummid-war pyar ka hai ajib chiz hai ye arsa-e-tamanna bhi jise bhi dekhiye qaidi isi hisar ka hai