thikana ho na ho phir bhi thikana dhund lete hain qafas mein rah ke bhi hum aashiyana dhund lete hain kitab-e-dil mein wo gham ko chhupa lenge to kya hoga magar hum dard-o-gham ka har khazana dhund lete hain kabhi un ko sahaare ki zarurat hi nahin padti parinde khud-ba-khud apna thikana dhund lete hain zamane ki nazar mein qatra-e-shabnam sahi lekin kuchh aise hain jo ashkon mein fasana dhund lete hain ghiza hanson ko moti ki koi la kar nahin deta wo khud sipon ke andar apna dana dhund lete hain meri tanhaiyon ka zikr jab un tak nahin pahuncha to kis ki rahbari se wo thikana dhund lete hain jab un ka nam apni ruh mein gudwa liya 'swami' to phir kyon tark-e-ulfat ka bahana dhund lete hain