sakhawaton ke bahane se chhal rahe hain log na jaane kaun se sanche mein dhal rahe hain log masarraten na jinhen ras aain auron ki ghamon ki dhup mein baithe pighal rahe hain log jo khud-parast hain insan mafad ke paikar unhin ke makr farebon mein dhal rahe hain log kahan main aa gaya is bazm mein sukun ke liye yahan to aap hi aapas mein jal rahe hain log na jaane kaun si mushkil mein phans gai duniya misal-e-atish-e-khamosh jal rahe hain log wo nim wali gali ab nazar nahin aati tamam shahr ka naqsha badal rahe hain log zara tu ghar se nikal kar to dekh duniya ko har ek gam pe 'swami' badal rahe hain log