thirakti lau ki bas ek aakhiri dua sunta phir us ke baad na kuchh mauja-e-hawa sunta mujhe bhi lagti kuchh aasan manzil-e-dushwar jo dusron ki sada-e-naqush-e-pa sunta kuchh is qadar bhi zamane mein qaht-e-harf na tha wo aashna tha to aawaz-e-ashna sunta ba-juz zakhira-e-auham pas kuchh bhi nahin ye baat kash wo girwida-e-ana sunta use pukar chuka zindagi mein haar chuka mera khuda tha to phir meri iltija sunta hum ek umr se 'mohsin' khumar-e-khwab mein hain hamari baat zamane mein koi kya sunta