thoDa sa rang raat ke chehre pe Dal do

thoda sa rang raat ke chehre pe dal do
kya sochte ho jam hawa mein uchhaal do

samjhega kaun ruh ki gahraiyon ke raaz
puchhe koi to baaton hi baaton mein tal do

suraj hai aur pyas ke mare hue hain log
sari khudai barf ke pani mein dal do

zindan mein kis liye mujhe karte ho tum asir
diwana hun to shahr se bahar nikal do

sae ke pichhe bhagte phirne se faeda
har aarzu ko jism ke paikar mein dhaal do

waise ye tirgi bhi buri chiz to nahin
lekin kabhi to aa ke dilon ko ujal do

'shahzad' dosti mein bhala kya mila tumhein
ho ahl-e-dil to dil ka janaza nikal do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close