thodi der ai saqi bazm mein ujala hai jam khali hone tak chand dhalne wala hai subh ki hasin kirnen nag ban ke das lengi main inhen samajhta hun main ne un ko pala hai bazm-e-nau ki shamon ko ye khabar nahin hogi kis ne zulmat-e-shab ko raushni mein dhaala hai kis ne khwab-e-insan ke nuqrai safine ko sakht-tar talatum ki zad mein bhi sambhaala hai log hans ke kah denge main kharab-e-sahba tha mai-kada ye khush hoga us ka bol-baala hai meri fikr ki khushbu qaid ho nahin sakti yun to mere honton par maslahat ka tala hai meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka ek 'salam' jata hai ek aane wala hai