hujum-e-dard mein khandan hai kaun mere siwa harif-e-gardish-e-dauran hai kaun mere siwa dawa-e-dil ke liye apne pas aaya hun ki mere dard ka darman hai kaun mere siwa ye ham-safar to chaman tak ke ham-safar thahre mera rafiq-e-bayaban hai kaun mere siwa sitara-e-shab-e-gham kis pe muskuraenge fareb-khurda-e-paiman hai kaun mere siwa wo aadmi hi to insaniyat ka dushman hai jo kah raha hai ki insan hai kaun mere siwa pukarti hain mujhi ko tamam zanjiren zaban-e-halqa-e-zindan hai kaun mere siwa mera pata to kisi gul se puchh lo ki 'shamim' chaman mein chaak-gareban hai kaun mere siwa