thodi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha mil hi jata wo jo apne ilaqe ka ek sakin tha kuchh bhi yaad nahin ab padta kab pardes ko nikle the shayad sham lagi thi dhalne ya shayad chadhta din tha hum ne jatan to lakh kiye the waqt ne aisi karwat li apni jadon se hum jud pate ek yahi na-mumkin tha wo ek saneha hum na jise kah pae ab tak guzra jab kaise kaise dil se chaha tha ki na sach ho lekin tha 'talkh' nahin tha sahl ye lahja jiwan bhar ki tapasya hai har jazbe ke hum zamin the dard hamara zamin tha