ghar se bahar kis bala ka shor tha mere ghar mein jaise main khud chor tha main ne dil mein jhank kar dekha use phir usi ka aks chaaron or tha pahle nacha aur phir rone laga mera dil bhi jaise koi mor tha ghar ke andar khak khane ko na thi sarhadon par dushmanon ka zor tha main ne kal raste mein dekha tha use mujh ko kya malum tha wo chor tha raat bhar 'alwi' ko main padhta raha yar wo shaer to sach-much bor tha