tiflan-e-kucha-gard ke patthar bhi kuchh nahin sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuchh nahin main aur khud ko tujh se chhupaunga yani main le dekh le miyan mere andar bhi kuchh nahin bas ek gubar-e-wahm hai ek kucha-gard ka diwar-e-bud kuchh nahin aur dar bhi kuchh nahin ye shahr-dar-o-muhtasib-o-maulawi hi kya pir-e-mughan-o-rind-o-qalandar bhi kuchh nahin shaikh-e-haram-luqma ki parwa hai kyun tumhein masjid bhi us ki kuchh nahin mimbar bhi kuchh nahin maqdur apna kuchh bhi nahin is dayar mein shayad wo jabr hai ki muqaddar bhi kuchh nahin jaani main tere naf-piyale pe hun fida ye aur baat hai tera paikar bhi kuchh nahin ye shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kuhan subh-e-shitab-kosh ko daftar bhi kuchh nahin bas ek ghubar tur-e-guman ka hai tah-ba-tah yani nazar bhi kuchh nahin manzar bhi kuchh nahin hai ab to ek jal sukun-e-hameshgi parwaz ka to zikr hi kya par bhi kuchh nahin kitna darawna hai ye shahr-e-nabud-o-bud aisa darawna ki yahan dar bhi kuchh nahin pahlu mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs yani wafa-e-ahd ka bistar bhi kuchh nahin nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar shah-rag bhi koi shai nahin aur sar bhi kuchh nahin yaran tumhein jo mujh se gila hai to kis liye mujh ko to e'tiraaz khuda par bhi kuchh nahin guzregi 'jaun' shahr mein rishton ke kis tarah dil mein bhi kuchh nahin hai zaban par bhi kuchh nahin