zamin mai-kada-e-arsh-e-barin malum hoti hai ye khisht-e-khum farishte ki jabin malum hoti hai pari udne mein zulf-e-ambarin malum hoti hai ye kali shakl bhi kitni hasin malum hoti hai meri hasrat tabassum-afrin malum hoti hai chhupi tere tabassum mein nahin malum hoti hai shafaq kah le koi chahe shafaq-gun aasman kah le hamein to ku-e-qatil ki zamin malum hoti hai chali hai tegh to kis naz se tham tham ke ruk ruk kar ye kuchh un se ziyaada naznin malum hoti hai are saqi zara meri sharab-e-talkh to lana mai-e-kausar to bilkul angbin malum hoti hai chhupi hai wo nigah-e-shokh bhi mizhgan ke sae mein chhuri bhi aaj zer-e-astin malum hoti hai ubhaaro to zara shayad mera duba hua dil ho koi shai bahr-e-gham mein tah-nashin malum hoti hai nahin ab dard-e-dil lekin abhi tak hai asar kuchh kuchh chamak rah rah ke pahlu mein kahin malum hoti hai asar dala hai hasrat ne nigah-e-shauq par kitna ki wo ab bhi nigah wapsin malum hoti hai ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahan bijli jahan mera nasheman tha wahin malum hoti hai lapak us ki chamak us ki wahi dam-kham wahi aalam ye bijli koi aah-e-atishin malum hoti hai 'riyaz' aisi mere dil se lagi hai jam-e-kausar ki mai-e-angur ab achchhi nahin malum hoti hai