Tika ke sar mere shane pe so rahi thi wo

tika ke sar mere shane pe so rahi thi wo
jahan-e-khwab mein bedar ho rahi thi wo

pahadiyon ke idhar ratjagon ki basti thi
pahadiyon ke udhar nind bo rahi thi wo

main is liye tha qabile ke jashn mein shamil
ki dushmanon ki mohabbat mein ro rahi thi wo

isi gulab ke kanton se khwab latke the
isi gulab ki patti pe so rahi thi wo

mujhe pata nahin kya kya dikhai us ko diya
mujhe pata hai magar dekh to rahi thi wo

wo ghas mod ke panchhi bana rahi thi aur
paron mein os ke qatre piro rahi thi wo

nadi mein tairti kuchh jugnuon ki lashen thin
jab apne jism ke daghon ko dho rahi thi wo

'mirash' teri mohabbat se pahle sari umr
badan se ek thi par man se do rahi thi wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close