tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho charagh koi tah-e-dil jalane wala ho hum aa gae hain jise dekhne ko mahfil mein ajab nahin wahi aankhen churane wala ho bahut se log safar mein ikatthe ho jaen koi qarib koi dur jaane wala ho main dekhta hun sar-e-sham aasman ko yun ki jaise dur ufuq se tu aane wala ho ye kya ki manjhiyon par ek hi si kaifiyyat koi to naw kinare pe lane wala ho