tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil

tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil
koi batae ab us ka kare to kya kare dil

fusun-e-jumbish-e-mizhgan na puchhiye sar-e-rah
pukarte hi rahe hum are are are dil

phir is ke baad hamein ye bhi to nahin raha yaad
nazar giri hai kahan kho gaya kahan zar-e-dil

qadam qadam pe tera gham hai khema-zan meri jaan
humak bhare bhi to aakhir bata kahan bhare dil

ye kunj-e-lab ye khumar-e-visal apni jagah
magar jo hijr musalsal bapa hai barsar-e-dil

ye tu jo mohr-ba-lab hai to kis liye 'khawar'
ye dekh kya hai tah-e-dil hai aur kya sar-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close