tilism-e-koh-e-nida jab bhi tut jaega to karwan-e-sada bhi palat ke aaega khinchi rahengi saron par agar ye talwaren mata-e-zist ka ehsas badhta jaega hawaen le ke udengi to barg-e-awara nishan kitne nae raston ka paega main apne qatl pe chikha to dur dur talak sukut-e-dasht mein ek irtiash aaega kiwad apne isi dar se kholte nahin hum siwa hawa ke unhen kaun khatkhataega hawaen gard se har raste ko dhak dengi hamare baad koi qafila na jaega yunhi dubota raha kashtiyan agar sailab to sath-e-ab pe chalna bhi aa hi jaega