zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh utar phenk dun kandhon se do-jahan ka bojh pada hua hun main sajde mein kah nahin pata wo baat jis se ki halka ho kuchh zaban ka bojh phir is ke baad uthaunga apne aap ko main utha raha hun abhi apne khandan ka bojh dabi thi aankh kabhi jis makan-e-hairat se ab us makan se ziyaada hai la-makan ka bojh agar dimagh sitara hai tut jaega chamak chamak ke uthata hai aasman ka bojh to jhurriyon ne likha aur kya uthaoge uthaya jata nahin tum se jism o jaan ka bojh palat ke aai jo ghaflat ke us kurre se nigah to silwaton mein pada tha meri thakan ka bojh jo umr bit gai us ko bhul jaun 'raza' pur-khayal se jhatkun gai udan ka bojh