tilism-e-shams-o-nujum-o-qamar se guzre hain dayar-e-husn ki har rahguzar se guzre hain koi bhi qalb-o-nazar ko asir kar na saka hazar rang ke jalwe nazar se guzre hain har imtihan-e-azimat se tere diwane bahut waqar bade karr-o-far se guzre hain thahar gai hain wahin gardishen zamane ki bala-kashan-e-mohabbat jidhar se guzre hain 'naim' jin se ibarat hai zindagi ka sukun wo hadsat bhi meri nazar se guzre hain